Thursday, January 6, 2011

Rmantic Shayaris

khawaabo mai ake methe, sapne dikhake,
Mujhe aane walei sunehre, lamhe dikhake,
kya Koi pari nai ki jaisi, Shararat ho tum..?
Jo bhi ho Jaana, Meri mohabbat ho tum…!!


Yaadoon mai likhe gaye, ashaaro jaise,
Pyaar mai sajaayae huye, ghazlo jaise,
Kya Likhe jo sunehrai, khayalat ho tum..?
Jo bhi ho Jaana, Meri mohabbat ho tum…!!


Teri baato mai wo, chashini haye rabba,
Dil mera unmein bas, doob jaaye rabaa,
kYa meri Liyeh bas, ek Masarrat ho tum..?
Jo bhi ho Jaana, Meri mohabbat ho tum…!!


Chehre se joo, zahir hai wo chupau kaise,
tujhse kitni mohabbat hai, ye batau kaise,
kYa meri diL ki hi sirf, Riyasat ho tum..?
Jo bhi ho Jaana, Meri mohabbat ho tum…!!

Tuesday, November 30, 2010

bakwas band kar

beatal nuts shayaris

punjabi video shayaris

Apne khwaabon khyaalon me tujhe paaya hamane,
Tere pyaar me khud ko mitaya hamane,
Suna hai andhero se bahut ghabraate ho tum,
Roshani ke liye apne dil ko jalaya hamne.

___________________________________
Anjane may hum apna dil ganwa baithay
is pyar may kaysa dhoka kr baithay
unsay kya gila kre bhul hamari he hy
jo bin dilwaloo say dil lga baithay.

_______________________________
Na karta Shikayat Zamane se koi !
Agar maan jaata manane se koi !!
Kisi ko kyuin yaad karta koi !
Agar bhul jata bhulane se koi …. !!
Tum dur ho¦ aur pas bhi,!
Tum hansi ho¦ aur aansu bhi!
Tum Mere man ki shanti ho.. aur dil ki bechaini bhi!
Tum meri amanat ho.. aur ek sapna bhi!

__________________________________
Chaha to bahot tha lekin woh mila naahin
Lakh koshisho ke bawjood humare beech ka fasla meeta naahin
Is kadar majboor kar diya zamane ne hume
Ki woh meri kisi sada pe tehra hi naahin

____________________________________
Tanhai jub muqaddar mein likhi hai,
To kia shikayat apnon aur bayganon se,
Hum mit gaye jin ki chahat main,
Woh baaz nahin aatay hamain azmanay se

Sad shayaris

















Mere dil ko todakar tum jaaoge jaha,
Meri baate yaad tumako aayegi wahaa,
Main to apna samajhkar tumhe maaf kar dunga,
Magar maaf na karega tumako ye jahaan.

__________________________________
Woh chalte chalte itne door chale gaye,
Hamein rokna bhi na aaya.
Hamne unka naam liya phir bhi,
Shayad unhein sunna na aaya.

_________________________________
Meri Ankhoon Kay Samandar main Jalan Kaysi Ha
Ajj Phir Dil Ko Tarapnay Ki LaGan Kaysi Ha
Ab Kisi Chaat Pay Chiragon Ki Qatarin Bhi Nahi
Ab Teray Shehar Ki Galioyon Main Guthan Kaysi Ha.


`